Kiran: Namaskar!! Kya pregnant lady satyanarayan Pooja main baith sakti hai apne Pati ke sath?
Swami Ram Swarup: Beti aapne prashn Ved Mandir ke acharya ko kiya hai jiski hamein khushi hai isliye answer hi Vedon ke anusaar yahan se diya jaata hai. Ved Ishwar se utpann gyaan hai. Vedon mein keval ek nirakar Ishwar, jisne srishti banayi, uski paalna kar raha hai tatha samay par pralaye kar deta hai. Vedon mein jo Satyanarayan ki katha hai uske baare mein kuch bhi nahin kaha gaya hai isliye yo Vedon ke vidvaan acharya hai vah isko Ved viruddh hone ke karan nahin maante. Haan aapki aastha hai to mein bas itna hi keh sakta hoon ki aap apne pati ke saath baith kar yah katha sun sakti hain.

As: Sir, what is Vedic solution to unnecessary dreaming so that one can have sound sleep?
Swami Ram Swarup: Vedic solution to destroy unnecessary dreams and get sound sleep is to perform daily agnihotra from Ved mantras, name jaap of God and practice of ashtang yoga philosophy.