Somdutt: Swamiji pranaam.. main Shiv bhakt hu unhe kaise prapt karu?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon mein Shiv ka arth kalyann karne wala hai aur jagat ka kalyann sirf ek nirakar, sarvashaktimaan, sarvavyapak Parmeshwar hee karta hai, jisne yeh duniya banayee. Jo ab iski paalna kar raha hai aur ant mein sanghar kar deta hai. Baki yadi aap Shiv kee Pooja karte ho to woh aapkee marzi hai, karte rahein aur is vishay mein kisi Shiv mandir mein jaakar poochhtaachh karein.

Sanjoy: Namaste Guruji, Mujhe apse ye Janna hai ki GAYATRI SAKTI PITH ke guru avom acharya Pt.Sriram Sharma Mata Gayatri moorti ki Puja start kia, Jo ki ved me moorti puja ki ullekh nahi he. Par unhone bhi Gayatri mantra ka hi prachar kia aur aap bhi wohi mantra sobko kehte hai. So apke hisabse kia sahi aur galat hai.. ie… wo sahi raasta dikha rahe hain aur logo ko vramit kar rahe?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Aap theek kehte hain ki acharya Shri Ram Sharmaji ne mata Gayatri moorti kee Pooja start kee, jo ki vedon mein nahi hai. Lekin maine kabhi Gayatri kee moorti ya kisi anya kee moorti Pooja ke liye updesh nahi kiya hai kyunki moorti Pooja ved virudh hai. Doosra, yeh ki main Gayatri se kewal hawan shuru karne ka updesh deta hoon aur keh deta hoon ki Sandhya ke mantron ko bhi seekho aur sath main Charon vedon ka updesh karta hoon. Kewal gayatri mantra ka updesh nahi kiya ja sakta. Kyunki ved mantra yeh nahi kehta ki kewal Gayatri mantra ka updesh karo.

Priya: Namaste guruji. Mujhe pata hay app bohut busy rahete hay, bt mare jiban may bohut sare badhay hay. Mare married life sahi nahi chalrahe hay. mere husbend mante hay ki mere hi karan unke jiban may savi galat ho raha hay. may unke life may unlucky hu. pls app mujhe bata sakte hay may kay sach may hi unlucky hu. Namaste.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Dekho beti, koi kisi ke liye lucky ya unlucky nahi hota kyunki ved aisa nahi kehte. Rigved mantra 10/135/1,2 mein spasht kiya hai ki pratyek nar-nari chhota-bada apne- apne pichhle karmon ka bhog bhogne aaya hai. Achchey karma ka phal sukh aur bure karma ka phal paap aur dukh ke roop mein bhoga jaata hai. Ab koi dukh bhog raha hai to weh apne karmon ka phal bhog raha hai. Ismein kisi doosre ka hath nahi hota. Isliye aap nishchint rahein ki aap apne pati ke liye unlucky nahi hain.

Pankaj: Swami hi namastay. mera sawaal pechidha hoga lekin mere maan main sawaal hai ki kya adbhut, chamatkari, divya shaktiyaa hum kisi prakar (method) se prapt kar sakte hai. aur USS me liye brahamchari hons jarrori hai ya nahi. kripya jald se jawaab dijiye. Namaskar….
Swami Ram Swarup: Namasteji. Brahmacharya dharann karna to Jeevan ka lakshay aur kartavya hai. Yajurved ke anusar aath siddhi hotee hain.

Ashta Siddhis

The Ashta siddhis are Annima, Laghima, Mahima, Praapti, Prakamya, Vashitva, Ishitatva, Satya Sankalp.

Jo bhi ved marg par chalkar kisi vidwan acharya ke sampark mein rehkar brahmachraya dharann karta hua Ashtang yog sadhna karta hai, usey yeh aath siddhi prapt hotee hain.

Anonymous: Naman guruji…..me shiv bhakt hu shiv ji ko pana chahta hu aur mera shadi krne ka bhi bilkul man nhi krta….akela rhkr shiv bhakti krna chahta hu..me moh-maya aur sare bhog chhodne ko taiyar hu,kbhi-kbhi to sochta hu ghar tyag du..meri baat koi nahi samajhta sub mujhpr haste hai..mera margdarshan kijiye guruji….me abhi 19 saal ka hu
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Aapka jo dil kare uskee Pooja karo, uske liye aap swatantra ho. Lekin yahaan prashan karke hamein ved ka bhee gyna dena uchit lagta hai ved mein sirf ek nirakar Parmeshwar jisnein yeh sansaar rachaa aur ab paalna kar raha hai aur baad mein sanghar kar dega, phir rachega. Hamein kewal vedon kee agya paalan karke us ek nirakar Parmeshwar kee Pooja karnee chahiye. Iske liye kisi ved ke vidwaan ke aashray mein rehkar hamein ved sunna nitya ved mantron se agnihotra karna, yogabhyaas karna aur Ishwar ke naam ka jaap karna chahiye jissey Ishwar prasann hokar hamein sukh deta hai aur hamari raksha karta hai. Iske liye yadi hamein brahmacharya dharann karna pade to avashya poornna aayu brahmacharya dharann karne kee agya ved deta hai. Ved Ishwar se utpann alaukik gyan hai. Yadi aapko is Vedic marg par chalkar vairagya aaye tub brahmachari banein anyatha ved kee agya hai ki mata-pita kee sewa aur grihasth ashram mein pravesh karna chahiye. Grihasth mein hee Vedic shiksha prapt karte rahein.