V: Pujya maharaj ji , barmbaar charan- vandan . . . . Lagbhag dhai maah purv mere paanv me chot lagi jo lagbagh ab thik ho rahi hai aur vigat 2 saptah se anjane tanaav , tensions ke rahte main raat me thik se so nahi paa raha hoon , hai gurudev main bahut dukhi hoon , mann ki pahle vali shanti aur anand kahi kho-sa gaya hai , philhal maine medical treatment(allopathic) bhi lena shuru kar diya hai , jaisa ki aap batate ho ki ishvar hume apne karmo ka phal deta hai to shayad main bhi mere kinhi gyat – agyat paap karmo ka phal hi bhog raha hoon , hai dayamay pita , mujhe ab maaf kar do , aage kisi bhi paapkarm me main na phansu,. . . . . main apse sikha hua ishawar naam ka smaran , asan , pranayam , meditation bhi kar raha hoon aur havan bhi , Sath hi apki likhi vaidic pustako ka swadhyay bhi kar raha hoon. . . please mujhe kshama kar dijiye aur pahle ki tarah jaldi hi purntah swasth ho jau, aur paapo se dur ho jau aisa ashirvaad de do pitashri,main bahut pareshan hoon, Please margdarshan kar do . . . apka beta.
Swami Ram Swarup: Aashirwad beta! ghabrane kee koi baat nahi hai, yeh Jeevan pichhle karmon ke bhog bhogne aur naye karma karne ke liye mila hai. Ved marg par chal rahe ho isliye pichhle karmon ko bhogne kee shakti bhi Ishwar de raha hai aur jaldi hee sab kuchh theek ho jayega. Mera aashirwad sadaa tumhare sath hai.