Som Dutt: Namaskaar guru ji.. Aap khte h ki god ke sakar roop ki pooja krne se bhgawan nhi mil sakte lekin mere guruji ko to mil gye wo aakh(eye) band krke sab kuch bta dete h aur uske upay bhi phle to mujhe biswass nhi hua lekin jab unhone mere bare me bataya to mujhe biswass hua… Wo vedo ko nhi jante kewal shiv ki hi pooja krte h… Ab aap unke baare me kya khna chahte h…
Swami Ram Swarup: Namasteji. Dear son, main kewal vedon mein kaha gyan hee kehta hoon, isliye main phir tumhe kehta hoon ki Ishwar vedon mein kehta hai ki saakar kee Pooja se Ishwar nahin milta. Doosra Ishwar kehta hai ki ved ke gyan ko prapt kiye bina bhi Ishwar nahin milta. Hamare puraatan Rishi-Muniyon, grihastiyon arthat sabhi learned nar-nariyon ne ved marg par chalkar hee Ishwar ko paaya hai aur Sri Ram aur Sri Krishan jaise mahapurushon ke baare mein bhi Rishiyon ne yahi likha hai ki woh vibhutiyan charon ved aur Ashtang Yog vidya ko jaanane walee theen, jis karann weh Brahma ke samaan hue hain. Ab yadi koi apnee marzi se kahe ki ved ke bina usne Ishwar pa liya to yeh uskee apnee khud kee marzi hai aur really weh purush Ishwar aur Ishwar kee Vanni ved ke khilaaf jaa raha hai. Doosra, Ishwar kisi ka bhavishya nahin bataata aur kisi ke baare mein kuchh nahin bataata, weh sirf karma ka phal deta hai, bataata kuchh bhi nahin. Phir aaj insaan agar idhar-udhar se information ikatthi karke, kisi ke bare mein kuchh bataata hai to weh Ishwar ke khilaf hai.

Satyam: Please send me Brahmcharya and Yajyen Karm books.
Swami Ram Swarup: Books are being sent to you, please.