SS: Maharaj ji pranam.. Mujhe ek bte janeni hai. Jb kalug khtme ho jayega fir satyug aayega. To kya use waqt tk aate aate itna paap kud khtme ho kayega kya?? Jaisa abi chla aa rha hai use dekhe ke to lgeta hai paap bdega.. Maharaj ji kya hoga tab??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta manushya paap na kare tabhi paap khatam hote hain. Paap-punnya ka sambandh kalyug, satyug aadi se nahi hai. Jaise kalyug ka samay four lakh, thirty two thousands year hai. To ismein is samay mein manushyon kee janam-mrityu karmanusaar hotee rahegee. Yeh nahi hai ki kalyug aa gaya hai to insaan paap karne par mazboor ho jayega. Aisa kuchh nahi hai. Manushya apnee ichchha se paap karta hai aur apnee ichchha se hee punnya karta hai. Bhav yeh hai ki buree sangat mein padkar paap karta hai aur achchhee sangat mein jaakar gunnwaan hokar punnya karta hai. Isliye paap apne aap khatam nahi hote hain. Manushya vedon ke gyata vidwanon kee achchhee sangat paakar jub ved sunta hai aur vedanusar shubh karma karta hai to unhee shubh karmon ko punnyawaan karma kehte hain aur jo ved viruddh karma hote hain weh paap karma hote hain. Hoga kucch nahi. Yeh sansaar Ishwar ke banaye niyamon par chalta hai. Agar manushya ved viruddh karmon ko bada dega, to phir paap ka phal dukh hota hai, to dukh hee dukh bad jayenge. Aur janta dukhi rahegee aur yadi manushya punnyawan karma karega to sukh bad jayenge, janta sukhi rahegee, yahi hoga. Isliye hamein ved vidya sunnee chahiye kyunki ved Ishwareeya vanni hai jisko sunne kee agya swayam Ishwar ne dee hai.