Pankaj: Namaste, Hindu dharm main tik mathe pe lagane ka kya meaning hai. Kya usse jivan par prabhav padta hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Maathe par chandan ka teeka lagane se agyachakra par eeda-peeda- sushumna naadiyon ka jo sangam hai, wahaan sheetalta prapt hotee hai aur jo prannayaam karte hain, unkee naadiyan sheetalta ko prapt hotee hain. Baaki koi prabhaav nahin padta hai.

Neha: Guruji prnam.. aapeki tabiyat ksi hai? guruji mera ek qus hai. hum ek maun aahuti dalete hai.. wo ku maun daali jati hai. iseka kya reason hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Han! Yahaan sub theek hai. Beti, aap subko ashirwad. Maun aahuti isliye daali jaati hai ki maun rehkar Ishwar ka naam sanson mein andar hee andar japo.