Anonymous: Swamiji.. Mere yichha maraneke liye.. Mai jivan se bhahut dhkha aa chuka hai.. Yisliye mai marana chati huu. Maraneke liye koyi be upaya hai. Per mai yichha karata huu.. Naturally death.mai din bar god devi ke pas yahi mangti huu marana.. Plz aap muje bhatayiye. Yek upaya marane keli.. Or koyi be mantra padane yaisa mantra bol dijye krupaya… Mai intazaar kar raha huu apaka uttar. Plzz shigrata muje upay dijiye mantra boliye marane ke liye.. Mai kisi kobi nayi bolunga mere vachana hai.
Swami Ram Swarup: Beti, Jeevan se wahee dukhi hota hai jo Ishwar ke diye hue is Jeevan ke maksad ko nahi samajh paata aur isliye Jeevan ka sadupyog nahi kar paata. Suicide jo hai, weh bahut zabardast paap hai aur iskee sazaa Ishwar deta hai, jisko bhogna bhi bahut kathin ho jaata hai. Aap aisa samajhein ki Ishwar ne aapko yeh shareer diya hai aur aap yeh Ishwar ko keh rahee hain ki main nahi letee tera shareer. Is prakar aap Ishwar kee insult kar rahee hain. Jo kee ek bahut badaa paap hai.

Aap sambhalein aur kam se kam local arya samaj mandir mein jaana shuru karein aur wahaan Vedic shiksha paakar Jeevan ka maksad samjhein. Ved marg par chaleingey to sukh prapt hoga. Koi bhi God-devi maut nahi deta, Jeevan deta hai.

Marne ka koi mantra nahi hota, sab aayu badhaane ke mantra hain. Aap nirashha chhodein, ashawadi banein. Mera ashirwad aapko.

Rebirth of choice after suicide

According to the religious path, even to think about suicide, is a sin. Human body is blessed by God to face the sorrows etc., according the deeds done in previous lives. Suppose a person commits suicide, it means he has not faced his deeds of remaining life. It means the deeds which he did not face, will be counted to be faced in the following life, after taking rebirth. Moreover, rebirth is also awarded by God according to the past and present lives’ deeds. When a person has committed the sins in the present life, how can he say that he will take rebirth of human life? He may be a snake, rat, lizard, animal etc., etc., and has to face more sorrows than those faced in human life. So one should never be nervous but must do hard deeds to get progress. You are advised to listen Vedas and learn how to perform yajyen, name jaap of God, asan, prannayam, meditation etc. You may come here also for a week or so to get spiritual advices otherwise you may seek an acharya locally. I have written some spiritual books according to Vedas, study of which will give you peace. The books can be sent on demand on receipt of your postal address. Please, do not be nervous. Be brave and go ahead for hard working and pious deeds i.e., worship etc.

Suicide

Suicide occurs in respect of those who indulge in illusion. Due to illusion, they are demoralised, lose patience. When the creation starts then at the beginning of every creation, God gives the knowledge of four Vedas to Rishis/human beings, to become learned by destroying the illusion. But those who due to one or the other reason, do not listen Vedas, they become unable to understand the motto of the human life and therefore the illusion effects them. As a result, they lose heart and commit suicide which is the greatest sin of human life. They even do not understand that due to their said act of sin, they will have to face more and more sorrows in the next birth. Even they are devoid of best human body which is meant to achieve salvation while doing all moral duties under the guidance of learned acharya of Vedic philosophy.

Results of Past Deeds

Rigveda mantra 10/135/1-3 state, that we have to face the result of our past deeds, good or bad in this life and the said type of deeds done here will be faced in the next birth in the shape of happiness and sorrows respectively. So we must not blame anyone because it is our deed which we have to face. Vedas is preach direct from Almighty God wherein it is stated that only formless God who creates, nurses and destroys the universe, is to be worshipped. Vedas state that Yajyen, name-jaap of God and practice of ashtang yoga under guidance of an experienced acharya is the best worship of God. However, it is up to an individual what he/she accepts. Also, even to think about suicide is itself a grave sin, the bad result of which will be borne in next life. We have come here to worship Almighty God, to burn our previous bad deeds so as to make our life happy and not to generate more sins. So God is one who is the creator. And to concentrate on the formless, Almighty God, one will have to follow the Vedas.

SUICIDE

Yajurved mantra 7/48 ke anusaar hum jeevatmayein manushya kee yoni mein aakar paap athwa punya karma karne ke liye poornataha azad hain parantu hamare kiye hue karmon ka phal kramshaha dukh evam sukh ke roop mein Parmeshwar deta hai. Artaht karmaphal hamare haath mein nahin hai. Doosra Rigved mantra 10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.

Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-
‘Mujhe kya bura tha marna,
Gar ek baar hota.”

Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya.