Shivanshu: Pranam Swamiji, Swamiji you have said that Lord Hanuman was able to fly cause he achieved dharmamegh samadhi please tell in detail about dharmamegha smadhi. Also please tell why Sri Ram required aeroplane and why he didn’t fly, has he not achieved samadhi at that time?
Swami Ram Swarup: Blessings beta. Matter of Dharmamegh Samadhi being lengthy can’t be briefed here. You may purchase Yog Shastra- Patanjali Rishi and commented by me for details. Samadhi means realization of God and not to use the power in vain.

Anupam: गुरूजी सादर प्रणाम।गुरुजी वेद उपनिषद, दर्शन,ब्राह्मण ग्रंथ,आरण्यक,अन्य ग्रंथ,पुराण का क्रम क्या है।जैसे वेद अपौरुषेय हैतो सृष्टि मैं जो ऋषि मुनियों ने ग्रंथ द्वारा ज्ञान दिया उसका क्रम क्या है।किस युग का कौन सा साहित्य है।गुरुजी हवन सामग्री मैं क्या क्या प्रयोग किया जा सकता है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Beti in baton ka answer jab kabhi yahaan aaogee tab personally prapt karna. Purann to manushyon dwara likhe gaye hain upnishad,darshan brahmann granth, aaranyak yeh vedon par aadharit rishiyon dwara likhe sachche granth hain. Gyan ko gehrai se samjho. Maine kai baar aap sabko samjhaaya hai ki gyan diye bina gyan nahi hota. Isee aadhar par srishti ke arambh mein jab koi guru aadi nahi hote tab Ishwar se utpann charon vedon ka gyan char rishiyon ko prapt hota hai aur in char rishiyon ka guru swaym Parmeshwar hota hai. Iske pashchat Brahma namak manushya (baad mein jo Rishi bane) unhone char Rishiyon se prapt kiya. Phir Brahma ne aage sabko gyan diya aur Guru parampara se yeh gyan chala aa hai bhav yeh hai ki charon vedon ka adhyayan karke Rishi gyani bane kyunki gyan diye bina gyan nahi hota. Jab vedon se rishiyon ne gyan prapt kar liya aur gyani ban gaye tab unhone Upnishad, Darshan Brahmann Granth aur Aarannyak Mahabharat, Valmiki Ramayan aadi granthon kee rachna hee. Aaj is parampara se hatkar jo manushya granth likh rahe hain weh satya nahi hain. Ab is baat ko pakka yaad kar lena, beti. Vedas divine light part I page number 104 par 21 herbs ka varnnan kiya hai. Aap usey dekh lein.