Kunal: Saadar charan sparsh swamiji , swamiji mere kuchdouts the , swamiji aaj kal naarivaadi logoka yeh kehna hai , ki stree ko santaan utpatti ke dauran jo labour pain hota hai , chuki stree ussey sehtihai isliye striya purushonse zyada bahadur hoti hai. border par ,jaan dena ,gharkeraksha keliye nidar ho kar ladna zaroor bahaduri hai ,par har purush sainiknahi hota , isliye harpurush ko sema par jaannahi gawaani padti par har stree , apneicchase garb dharaan karti hai aur santaan utappatiwaaala pain sehtihai ,isliye average agar baat kiya jaaya toh striya purushokemuqable zyada bahadur hoti hai..swami ji yeh baat mujhe ajeeb lagi,kyuki merijaankaarike anusaar vedo,upanishad ,ramayan ,mahabharat mein santaan utpatti ke liye jo labour pain streekobhogna padta hai ,ussey kahin par bhi veerta ya bahaduri ka example nahi kaha gaya.
q1- swamiji kya labour pain se gujarna ,veerta ya bahaduri hai?
q2- swamiji jab koimanushya bohat dukh ya kasht se gujarte hue bhimansik santulan banakerakhta hai , ya koi lakshya kobohat zyada kathinai aur dukh ke bawjood prapt karta hai,tab bhi hum kehte hai , kiwoh vyaktibohat mazboot ya bahadur hai. par kya swamiji yahi baat ,hum tab bhi kehte hai jab stree santaan utpann karne k liye labour pain se gujarti hai,? kyuki swamiji maine kabhi nahi suna ki yeh bahaduri hai ya santaan prapti ke baad koi stree ko keh raha ho ki tumne bohat veerta dekhai.
q3-swamiji vedo ,upanishado aurramayan ke anusaar ,veerta kya hoti hai? humveer kis vyakti ko keh sakte hai,kise nahi?
q4- swamiji ,koi vyakti ishwar dwara diye gaye dukh aur kastokobhi bagair mansik santulan khoye , dharya se seh raha ho,kya ussey bhiveer kaha ja sakta hai?
q5-swamiji, yadi koi vyakti,bohat sangharsh aur kathinaiyo ka saamna karke apne lakshya ko prapt karta hai,kya ussey veer keh sakte hai??kyuki swamiji kathinayiya tohpurvjanamoke karmo ke karan utpann hotihai,dand ke roop mein ,tohkya tabbhiaise vyakti ko veer kahajaayega,jo kaafi sangharsh karke ,bagair mansik santulan khoye apne lakshya ko prapt kare?
q6 -swamiji ,, kyuki swamiji santaan pitaah aur mata dono ke karan se utpann hoti hai,aurdonoka barabar ka haq bhi hota hai ,par uss santaan jo hui ,pitaah ka barbar haq hota aur ussey labour pain se bhi nahi gujarna padta , parnatu mata ko gujarna padta hai , barbar k haq keliye, yeh pain bhi ussey purv janamo ke karmokiwajah se gujarna padta hai, toh swamiji agar q5 waaley vyakti ko agar veer kahenge ,jisne ishwar ke dwara bhejigayi kathinaiyo ka saamna karte hue lakshya prapt kiya ,kya stree ka labour pain se gujarna veerta kaha ja sakta hai? maaf kariyega swamijimainajeebo gareeb sawaal pooch raha hu,kyuki swamiji , agar do log hai, jo ekhi lakshya koprapt karte hai ,par ekasaanise karleta hai ,par doosra bohat hi zyada sangharsh karke ,kathinaiyoka saamna karke uss lakshya ko prapt karta hai, toh humlog jis vyaktine sagharsh aur kathinayiyokasaamna karke lakshya prapt kiya ussey veer,mazboot ,bahadur aadinaamo se sambodhit karte hai,yeh jaante hue bhiki yeh kathinayia ussey purv janamokekarmose mili…agar yahibaat santaan utpattipe lagu ki jaaye ,do vyakti hai,pitaah kosantaan bagai labour pain se gujre prapt hotihai par mata ko pain dwara , toh kya swamijiiss case mein bhi hum maa ko pitaah sezyada veer , mazboot ya bahadur kahenge??
swamiji meri ab tak duniyakijaankariaur ramayanaur mahabhart ke hissab se stree kalbour painsegujarna kabhibhi,kisigranthmein,veerta ,mazbooti ya bahaduri nahi kaha gaya.swamijiaapkeispekyavichaar hai?kya vedoupanishds,ramayan ke hissab se labour pain se gujarna bahaduri mazbooti ya veerta hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nari aur purush kee alag-alag duties hain jo vedon mein kahee gayee hain. Isliye santaan ko janam dena nari ka dharma hai aur nari kee dekhbhaal, raksha evam parivaar ka paalan, poshann karna purush ka dharma hai. Aur Ishwar ne har purush ko sainik banne kee agya nahi dee hai. Yajurved mantra 31/11 ke anusar jo veer hai, bahadur hai , desh raksha mein Samarth hai, weh desh ka sainik hota hai, anya nahi. Anya samaj kee sena raksha kartee hai. Yeh Ishwar ka nyay aur vedon mein kaha niyam hai. Isliye sainik kee nari se is vishay mein tulna karna uchit nahi.

Purush aur istree apne-2 kshetra mein dharma karne mein bahadur hain.
A-1) As above. Labour pain se guzarnna istree ka dharma hai.
A-2) Answer as above.
A-3) Veer wahi vyakti ya nari hai jo vedon ko sunkar apne-apne kartavyon ka gyan prapt karke apne-2 kartavy theek-2 tarah se nibhata hai.
A-4) Sukh aur dukh Rigved mantra 10/135/1,2 ke anusaar khud ke kiye pichchley janamon ke kramshaha achchey ya burey karmon ke parinaam hain. Isliye jo is vishaye ko jaankar dhairya se karmon ke bhog bhogta hai aur ved marg par bhi chalta rehta hai, weh dharmik purush-nari hai.
A-5) Lakshya ka matlub Ishwar prapti hai, jo is lakshaye ko ved marg par chalkar prapt karta hai weh dharmik aur purushathi purush hai.
A-6) aapko baar-2 labour pain ka prashan nahin karna chahiye kyunki yeh nari ka dharma hai aur issey nari ka apmaan hota hai. Mata sabke liye pujniya hotee hai.

VK: I have lot of problems in the office. An enquiry is going to be held against me. What should I do to see that enquiry is not held as I have only one year of my service left? Please give me some solution.
Swami Ram Swarup: At this juncture, you should keep patience and face the problems bravely.