B D: I am not able to concentrate in mediation for sometime. My mind gets distracted. I can finish it with a lot of difficulty. It never happened before. Please help so that I can focus.

B D: I am not able to concentrate in mediation for sometime. My mind gets distracted. I can finish it with a lot of difficulty. It never happened before. Please help so that I can focus.
Swami Ram Swarup: My blessings to you . mann to chanchal hai aur bhatkata hai parantu vairagya aur nitya sadhna ke dwara vash mein hota hai. Ataha aap aisee vedic /dharmic pustakein roz padein jisme vairagya aur Ishwar ke gunn kahein hon. Gayatri mantra se rozana hawan bhi karein. Gayatri mantra ka uchchran karte hue uske arth bhi saath-saath dhyan main rakhein. Kuch vedic pustakein hamare paas hain agar chaho to apna pataa bhej kar mangwa sakte hain . jaise ki ..
(i) Vedic satsang sangrah (in Hindi)
(ii) Vedas – A Divine light (I, II III ) (in English)
(iii) Bhagwad Geeta – Ek vedic Rahasya (comments on first two Chapters in Hindi)
(iv) Manav Dharma Shiksha – (in Hindi)
(v) Brahamcharya – Dukh Nivarak divya manni (in Hindi)

A S: Will I get married to the person whom my parents are considering?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Agar aap ke papa ko woh ladka pasand hai tab weh ladke ke parents se milkar rishta pakka karne ki koshish karein . weh zaroor kamyaab ho jayenge. Asal mein kush zindagi ka katna apne gunno par nirbhar kara hai. Agar aap thoda sa bhi dhyan deingey, gunnvaan honge, gunno ko seekh kar grihasth ke karma kareinge aur isi prakar aap ke hone wale pati bhi agar gunnvan honge aur kartavya ka palan karenge tab ghar mein swarg hi hoga aur Bhagwan sahayata karega . naukari ke liye aap poori koshish karein Gayatri ka jaap karein. Gayatri mantra se Rozana hawan karein . hawan ke baad Ishwar se naukari maangne ki prarthna bhi karein. Mujhe ummeed hai, ki Ishwar aapki sunega.