Hansraj: Mere upar kush din pahle chhipakli gir gayi the usaka prinam?
Swami Ram Swarup: Chipkali girne se koi kharabi nahin. Agar kaat leti to doctor se ilaaj karaana zaroori tha. Otherwise, sub kuchh theek hai, bhranti mein na padein aur kisi ke bataye bhoot-pret, tantric vidya etc., ke changul mein na phanse. Andhvishwas se door rahein.

Anupam: Guruji pranam.guruji kya karmphal vyavasta me chhatipoorti vidhan bhi hota hai.maine you tube per ek video me suna ki yadi kisi ko kisi ke dwara kiye karya ke phalswaroop pareshani milti hai or yadi esa hona uske prarabadh me nahi hai to ishwardwara us pareshani ke liye bharpai ki jati hai.guruji yadi esa hai to to phal ka dene vala to ishwar hai.to esa kaise sambhav hai ki kisi ke karya ke parinam se doosara dukhi ya pareshan ho jabki pareshani uthana uske bhagya me nahi hai.guruji teesre lok ke vishay me kuch bataye.kuran kisne likhi hai.guruji jab kabhi hawan akele karna ho to kya samagri ki aahuti ulte hath se dale.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Chhatipoorti vidhaan ka varnnan vedon mein nahin hai. Isliye vidwan isey nahin maante. Aur teen lok hain- Prithvi lok, Antariksh lok evam Dyulok. Dyulok teesra lok hai jismein chand, sitaare, surya greh chamakte hain. Inkee Pooja nahin kee jaatee. Ishwar ne inhein hamare sukh ke liye banaya hai. Kehte hain Hazrat Mohammad Sahib ko Qurann Sharief kee ayyaton ka ilhaam hua tha aur unhonein Qurann Sharief kee rachna kee. Nahin seedhe haath se hee dalein.