Anupam: Guruji sadar pranam .aapne bataya ki jo log ishwar ki puja nahi karte unhe nature or jyda facilities provide karti hai.esa hone per sabhi anya jo ese vyakti ko sukhi dekh rahe hai yahi sochenge ki is tarah ka jeevan jeene per jyada anand ki prapti hoti hai v jeevan isi prakar se jeena chahiye.to sahi galat ka gyan kaise ho payega.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beta, maine aisa kabhi nahin likha ki jo Ishwar kee Pooja nahin karte unhein nature aur zyada facilities provide kartee hai. Maine hamesha yahi Vedic updesh kiya ki jo Ishwar kee Vedic Pooja nahin karte aur unke paas adhik dhan hai, sukh etc., hai to weh unke poorva janam ke shubh karmon ka phal hai. Iske liye is Jeevan mein kisi prakaar kee bhakti kee avashyakta nahin hai aur jab aisey dhanvaan vyakti ka pichchley janam ke kiye shubh karmon ka samay samapta ho jaata hai to phir uska dukh-dayak Jeevan shuru ho jaata hai. Doosree baat yeh bhi hai ki dhanvaan hotey hue agar weh ved marg par nahin chal raha, Vedic bhakti nahin kar raha to dhanvaan hotey hue bhi andar se weh maansik aur shareerik dukh avashya prapt karta hai. Jo anya is vyakti ko sukhi dekh rahe hain, weh ved ke gyan ko nahin jaante. Ab ismein koi kya kar sakta hai.

Aaj ke samay mein ved ka gyan pehle ke yugon kee tarah ghar-2 pahuchana ati kathin karya ho gaya hai koi tatha-kathit ved virodhi sant- manushyon aadi ne ved ke khilaaf bahut prakaar ke prachaar kiye hue hain aur manushyon kee kitabon ne yeh likh-2 kar phaila diya hai ki kalyug mein ved vidya kee avashyakta nahin hai, Yajyen, yogabhyas kee avashyakta nahin hai, kewal Ishwar ka naam jaap karo aur tar jayo ityadi. Ab ismein koi kuchh bhi nahin kar sakta.

Anupam: Guruji sorry. Viska nahi jiska likhna chah rahi thi. Guruji aapke anser se jana ki prathvi lok per pehle bhagwan ne per podhe pashu pakshi banaye.phir manav banaye v unme se 4 ko select ker ved gyan dia .to kya ashubh karmo ke karan vyakti jin yonio me jata hai ve pehle se hi thi.
Swami Ram Swarup: Han! Rigved mein kaha asankhyadhaha arthat asankhya yoniyan hain jo anaadikaal se hain.