Anupam: Guruji namastey. Guruji phir se yahi prashna dimag me aaraha hai ki yadi ishwar ne hi hamari rachna ki hai to hame kewal acche karya karne ki hi prerna kyo nahi dee.hum galat karyo ki or prerit kyo ho jate hai.jab puri srshti hi unhone rachi hai toinsan ke dwara ashubh kratya kiye jane ka colum hi kyo rakha.jai koi company apni car banati hai to uski functioning ki puri jimmewari usi per hoti hai to hum bhi to ishwar ka creation hai.guruji purnima amavas adi tithio ka ved me kya mahatv hai.thusrday saturday ekadasi aadi ko bal arthat sir kyo nahi dhona chahiye.
Swami Rmaswarup: Namaste beti. Dhyan rahe beti, Ishwar ne karmanusar hamare shareer kee rachna kee hai. Parantu hamaree arthat jeevatma kee rachna nahin karta kyunki jeevatma ko kisi ne nahin banaya aur issee tarah Ishwar ko bhi kisi ne nahin banaya. Isliye Ishwar aur jeevatma ko vedon mein swayambhu kaha hai. Yahi ved ka updesh hai ki hum paap karma se bachein, sadaa vedon mein kiye hue updesh ke anusaar kewal shubh karma karein jaise Upnishad mein kaha “Yaani-Yaani shubhani karmaanni” arthat jo-jo shubh karma vedon mein kahe hain, hum kewal unhee shubh karmon ko karein, paap karmon se bachein kyunki paap karma ka phal dukh bhogna hai aur punnya karma ka phal sukh bhogna hai. Ved vidya sunte rahein aur havan/Yajyen karte rahein, yeh bhi Ishwar kee agya hai aur isey sabse uttam shubh karma kaha hai.

Hamare ved marg par na chalkar tadanusaar vidwanon ke sang Vedic shiksha na prapt karna aur yaj, yogabhyas aadi sadhan na karne se hamare mann aur buddhi ashudh aur bhrashta hotee hai aur paanch gyanindriyan bahree sansaar ke vishaye-vikaar maaya aadi kee aor aakarshit hokar mann burey karmon mein phans jaata hai.

Ishwar ke karma alaukik hain, divya hain aur car, makaan aadi banana, yeh manushya ke karma hain, bhautik karma hain, divya karma nahin hain. Isliye in bhautik karmon kee upma Ishwar ke divya karmon se nahin kee ja sakti. Srishti rachna ka yeh bhi niyam hai ki manushya paap aur punnya karma karne ke liye azaad hai lekin achchey-burey karmon ka phal kramshaha sukh aur dukh ke roop mein Ishwar deta hai. Aadmi kee banayee car to bigadegee, tutegee lekin niyamanusaar Ishwar kee banayee srishti hai, Jismein Prithvi, Chand, Sitaare aadi hain, kya in sabko kabhi repair kee zaroorat padee hai. Kya sooraj kee roshni bijli kee tarah din mein kabhi gul ho jaati hai aadi. Poornima aur Amavasya ke Yajyen yahaan hote hain kyunki Ishwar ne Atharvaved mein kaha ki poornima aur Amavasya ke Yajyen karne se vishesh punnya prapt hota hai, vishesh sukh milta hai. In tithiyon par baal log apnee marzi se nahin dhote, vedon mein Ishwar kee aagyaa nahin hai. Ishwar ne to shauch shabda ka updesh kiya hai ki shareer ke partyek ang ko nitya nahaa-dhokar shudh rakho.

Hamraz: Namaste Swamiji Thank you for your respond. I would like to ask you when was the package was dispatched from you? i have not got anything yet.. do your have tracking number? looking forward to your respond best regards. Hamraz
Swami Ram Swarup: Namasteji. You are welcome, please. Yes, please. The package has been sent. Please confirm receipt and if not then again send your address, we will send along with Yajyen CD.