Sapana: Pranam guruji. Bahot dinose mere mann me yeh prashna chal raha hai ki jab prakruti ne purush aur stri ke sharir aur mann ki banavat me antar rakha hai to kya yeh nahi ho sakta ki ved ke shloko ka aur mantro ka stri aur purush dono pe alag prabhav padega. Maine padha hai ki bahot se mantra striyo ne nahi recite karne chahiye q ki wah stri ke health pe ulta asar dalate hai. Kya yeh baat sahi hai? Specially gayatri mantra ke bareme kafi logoka kehna hai ki isase striyo me male hormone badhata hai.main pehele gayatri mantra ki roz mala karti thi bt jabse muze pcod hua hai maine band kar di. Dimag me darr sa baith gaya hai. Main samazti hu ki mere pcod ka karan kuchh aur bhi ho sakta hai par muze aapse is bareme samadhan chahiye.maine padhi hui link aapko bhej rahi hu. Meri iss baat se maine aapka mann dukhaya hoga to plz muze maaf kar dijiye but meri shankao ka nirsan aap hi kar sakte ho isliye aapse puchh rahi hu. Dhanyawad!!
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Mantron ka, pravachan ka updeshon ka asar shareer par nahin padta, jeevatma par, mann aur buddhi par padta hai. Updesh jeevatma ko tarne ke liye hota hai, shareer ko nahin. Isliye istree ka shareer aur purush ka shareer, dono hee ved sunkar, sadhna karke muktee prapt karne ke adhikari hain. Phir sunein, mukti jeevatma kee hotee hai, shareer kee nahin. Shareer to chita par chala jaata hai aur jevatma ajar-amar avinashi hota hai. Aisa nahin hai.Asal mein to pratyek mantra arthat charon ved jaise purush ke liye hai, aisey hee naari ke liye bhi applicable hain. Gayatri mantra bhi ved mantra hai. Yeh bhi mann-buddhi aur jeevatma par asar daalta hai, hormones par nahin. Hamari bharteeya sanskriti bigaadney ke liye aur naari jisey vedon mein Brahma ka pad mila hai, usey dabaane ke liye aisee jhootee baatein phalayee jaatee hain. Aapko Gayatri mantra ka arth sahit rozana jaap karna chahiye aur kum se kum gyarah baar Gayatri mantra kee aahutiyaan havan-kund kee agni mein daalnee chahiye. Woh aapkee koi aur problem hogee, aap medical advise lekar theek ho jayengee. Ashirwad beta.

D S: Guri ji ke charanomain dandwat prannam swamiji property against jo aapne mujhe aadesh kiya maine pura karne ka prayas kiya or hum tino bhai ko agree kiya parantu Shyamji ne perssnel issu commetti ka utha kar objection laga diya 4th may ko meeting honi thi usmain jaane ko inkar kar diya.perssonnel issu kasandarbh main guriji aapse discuss pahle hi kar chuka hun ki main jo aapka jama pungi hi de paunga baki guri ki mujhe kya karna chahiye aap hi margdarshan digiye.shyamji ko confusion hai maine to case stop kar diya or batwara as according guriji aapke anusar kiya parantu shyam ji ko aap per chhorta hun problam hai to main duwara aa jata hun jaisa aapka aadesh hoga us date main aa jaunga.
Swami Ram Swarup: Mera tumhein hardik ashirwad, beta. Aap Shyamji ko lekar Vyas poornima par 2-3 din ke liye aa jao.