Harsh: Charan sparsh swamiji, swamiji mann mein atheistic khayaal aate hai , baar baar , issey bahut kasht hota hai, dukh hota hai ,darr utpann hota hai , ishwar k bina shrishti ke khayaal se bahut dukh ,darr aur peeda hoti hai..aise atheistic khayaal baar baar aate hai aaj kal swamiji,main bahut dukhi ho..suicide karne ka mann hota hai, mansik kasht k karann.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jo aapke mann mein naastikwad ka khyaal aata hai yeh poorva janam ke karmon ka hi prabhaav hota hai aur issey darne kee zaroorat nahin. Jitnee bhi human-bodies hain, unke andar hum sab rehne walee jeevatmayein hain jo ajar-amar-avinashi hain. Isee prakaar tumhare shareer mein bhi tum jeevatma ke roop mein rehte ho. Yeh saubhagya hai ki tumhein manushya ka shareer mila. Ab is shareer mein rehkar tumehin na to naastikwad se darna chahiye aur na kisi aur wad se darna chahiye. Aapka kartavya hai ki aap ved ke vidwan se judein aur ved sunein, nitya agnihotra karein aur prabhu ke naam ka simran karein aur is sab vidya ko seekhney ke liye ved ke vidwan se sampark karein, unse jigyaasu hokar shiksha grehan karein. To phir tumhara saara darr jaata rahega. Yahi manav dharma hai ki woh ved marg par chaley. I also paste my article in this regard as under-

SUICIDE

Yajurved mantra 7/48 ke anusaar hum jeevatmayein manushya kee yoni mein aakar paap athwa punya karma karne ke liye poornataha azad hain parantu hamare kiye hue karmon ka phal kramshaha dukh evam sukh ke roop mein Parmeshwar deta hai. Artaht karmaphal hamare haath mein nahin hai. Doosra Rigved mantra 10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.

Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-

‘Mujhe kya bura tha marna,

Gar ek baar hota.”

Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya. Weh aur paapon ke saath is mahapaap ko bhi bhogega. Satya yeh hai ki hum sansari vastuyon aur maya mein phans jaatey hain, jo ki Raj, tam aur satva gunn se banee hotee hain aur sadaa vishaye vikari aur dukh dene walee hain. Inka istemaal to vedic bhakti karne ke sath-sath tyagpoorvak kiya jaata hai tab yeh vastu sukh detee hain anyatha nahin detee hain, is vishya mein main apna ek article paste kar raha hoon.

S: Namste guruji…humare sath dhoka diya hua vyakti ke saath kaise vyavahar rakhe ,jab ki wo relative hi ho.uske parents acche hai aur unko pata nahi beta kaisa hai..that person is good for other people and very talented person,having respect bt nobody knows how he is. That person don’t have regret about what he did ..if we cut relation people will think wrong about us..please tell me solution
Swami Ram Swarup: Namaste, beti. In this matter, you will have to always be alert from your relatives who have committed fraud and deal with all the rest of family members in loving and repsectful manner.