जिज्ञासु:प्रिय गुरुदेव , आत्मीय नमन , वंदन , चरण वन्दन l . . .गुरु के आश्रम मे कुछ काल पर्यन्त सेवा , विद्या प्राप्ति के बाद संसार मे जाकर यदि हमारे जीवन मे कोई दुख आये तो वह दुख या तो हमारे पूर्व जन्मों के पापों का फल होगा या इस जन्म मे गुरु के आश्रम मे रहकर किये गये पापों का फल होगा , तो गुरुदेव मेरा ऐसा विचारना सही है अथवा गलत ? दूसरी बात ऐसा दुख आते ही आगामी जीवन मे दुखों से पूर्ण निवृत्ति एवं सदा के लिये आनंदमय जीवन की प्राप्ति हेतु मन – वचन – कर्म से किस पुरुषार्थ मे जुट जाना चाहिये?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Aapka vichar kaafi had tak theek hai, is Vishay mein ek answer paste kar raha hoon.

Ishwar dwara updesh kee hui kewal ek hee Pooja hai, weh hai- ek nirakaar Ishwar kee Pooja. Parmeshwar sadaa ek ras rehta hai arthat nirakaar, sarvashaktimaan, sarvavyapak, srishti rachyita aadi anant gunn yukta hai aur uske swarup, gunn, karma, swabhaav kabhi nahin badaltey.

Isee Ishwar kee jub sadhak vedanusaar pooja karta hai arthat ek ved sunta hai aur samajh kar uspar acharann karta hai, Ishwar naam ka nitya smarann karta hai. Teesra, Ashtang Yog sadhna karta hai, chautha- Nitya agnihotra aur Acharya ke paas jaakar yajyen karta hai aur is vedic Pooja par kisi bhi sthiti mein sanshaye nahin karta- Shraddha rakhta hai aur mata-pita, atithi, guru kee sewa karta hai to nishchit hee samay aaney par uske dukhon ka naash hota hai. Jaise ki yajurved mein kaha- “vitt yajyen kalpantaam” arthat Yajyen dwara dhan badta hai.” “aayu Yajyen kalpantaam” arthat yajyen se aayu badtee hai, “Swaha Yajyen Kalpantaam” arthat dukhon ka naash hokar sukh prapt hota hai.

Shraddha ka arth hee yahi hai ki ek baar jub ved sun-sunkar shrat+dha- Satya samajh mein aa jaye aur weh gyan Jeevan mein dharann kar liya jaye to usey Shraddha kehte hain. Jubtak satya, ved, nirakaar Parmeshwar, prakriti aur Bhagwan ke swarup, gunn, karma aadi Ved sun sunkar samajh nahi aaye tab tak sadhak ka chitta sthir nahi hota, mann chanchal rehta hai aur naastikwaad tatha astikwaad donon taraf mann-buddhi vichaar kartee hai, ek taraf sthir nahin ho paatee. Mukhyataha anadi evum avinashi satya Bhagwan, Yajyen aadi samajh nahi paatee atah jub tak Shraddha pakki na ho jaye, sadhak ko upar kee sadhna arthat mukhyataha ved sunna aur yajyen karna ityadi chchodna nahi chahiye kyunki shabdon dwara yeh pramaanit hai ki Ved Ishwareeya vanni hai jisey Sri Krishna Maharaj, Sri Ram etc., sabhi ne apnaya aur jub Sri Ram jaison par vipatti aayee arthat Rajya chchodkar chaudha varsh vanon mein jaana padaa aur wahan Sita ko Ravann chura le gaya tub bhi Valmiki Ramayan mein Sri Ram ne rotey hue yahi kaha ki Hey! Laxman, mera durbhagya dekho ki Rajya chhin gaya, Sagey-sambandhi door ho gaye, Sita ko Ravann chura le gaya aadi. Hey! Laxman, main samajhta hoon ki is bhoomandal par mere samaan paap karne wala paapi purush koi nahin hai kyunki ek ke baad ek dukhon kee na tootney walee parampara nirantar mere hriday aur mann ko cheer daltee hai. Poorva janam mein main eek ke baad ek bahut se paap kiye hain. Unhee paapon ka phal aaj mujhe prapt ho rahaa hai aur mere upar bahut dukh aa rahe hain.
Main itna bhagyaheen hoon ki yadi main Samundra mein kood jaoon to mere dukhon se samundra bhi sookh jayega.

Vichaarneeya vishaye yahi hai ki Sri Ram ne Yajyen ko, vedon ko, Rishiyon ko, Mata-Pita aadi kisi ko bhi dosh nahin diya kewal apne bhagya ko hee dosh diya. Phalswarup weh prithvi kee ek mahaan vibhutee kehlaye hain. Kisi bhi paristhiti mein ved, Ishwar aadi ko dosh nahin dena chahiye.

Yajyen/havan, vedic marg par chalkar jeev apna agla janam dev yoni mein nischit kar leta hai aur phir vedic bhakti karke apne paapon ka naash karta hai. Yadi weh vedic marg par nahin chalega, yeh sochkar ki jub pichchley janamon ke karmon kee sazaa hee bhognee hai to na koi pichchley janam ka phal nasht hoga aur na hee agla janam dev yoni mein hoga. Apitu manushya deh ka durupyog karke weh jeev-prakriti chakra mein phansa jaata hai arthat manushya ka sharer to usey milta nahin. Uske sthan par usey pashu-pakshi, keet-patang kee yoniyon mein jaakar kasht uthana padta hai. Yajyen, Yogabhyas aadi jo vedic upasana/Pooja upar updesh kee hai, weh nisswarath hotee hai. Uske phal kee ichcha nahin hotee. Jaise ki Sri Krishna Maharaj ne kaha ki Hey! Arjun, tera karma karne mein adhikaar hai, phal kee ichcha mat kar etc. Yajyen se sukh nahin mila, yeh swarthyukta evum sanshaye yukta bhakti hai. Aisee bhakti sukh nahin detee. Ved marg par chalkar sadhak ko atal Shraddha aur astha kee avashyakta hotee hai.

Jo insaan ved nahin sunega, usey yeh pataa hee nahin chalega ki shubh karma kaun se hain aur ashubh karma kaun se. Aisey manushya ko ved avidyagrast manushya kehte hain. Isliye manushya ka sharer paakar ke jeev ka yeh dharma hai ki weh ved marg par chale.

Sthayee sukh prapt karne ke liye mann, vachan karma se ved marg par chalna chahiye jiskee shiksha guru se ashram mein baar-baar jaane se parpt karte rehna chahiye aur yadi zyada samay jaane ka na mile to guru kee likhee pustakein evam puratan Rishiyon ke dwara likhee pustakon ka Adhyayan bhi karte rehna chahiye aur nitya ka agnihotra, naam smarann aur yogabhyaas karte hue grihasth ke kewal shubh-shubh karma hee karte rahein, kusang se bachein. Ved virodhi sthanon se bachein, kaam krodh, mad lobh pratham in char vishiyon par control karne ka abhyas karein.

R: Dandwat pranam Rishiwar, Rishiwar main R likh raha hu. My mother is suffering from gastrointestinal TB and under allopathic treatment since 5 month. Now she is very weak due to stomach pain ,gas, vomiting. Mujhe kuch samaj nahi aa raha kya karu Dr kahte hai ki dawai khani hi paregi lekin weakness bahut aa rahi hai ab to chalna bhi mushkil ho gaya hai. Muje marg bataiye apna ashirwad dijiye. Kaise ilaj karu ab to meri himat bhi tut rahi hai. Ashirwad dijiye
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son. R beta himmat rakho hamein God ne mata pita kee sewa karne kee agya dee hai, woh aap kar hee rahein hain. Han! yadi aap mother ko AIIMS mein dikha sakte hain to bahut achchha response milega.