Gagandeep: Who was king Janmeja and was king Ajay Singh (his son) was first rajput ruler?
Swami Ram Swarup: Janamejey whose description is mentioned in Mahabharat was a king and was a son of King Parikshit. Janamejey was grandson of Abhimanyu. Sorry I do not know about Ajay singh because the description of Ajay singh is not in Mahabharat.

Neha: Parnam guruji mey yeh janna chati hu ki agar koi nit niyamo say subh or sham ko satuti mantr or sanya matr karto ho or hawan naa karta ho too ushy uska fall milyga ya nahi kripa karky batayparnam guruji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Ved mantron se kewal uchcharann karke Ishwar kee stuti, prarthna aur upasana karne ka achchha phal to milega hee parantu hawan na karne ka saara punnya aur upasana ka phal to ghat jayega, woh phal to nahi milega. Isliye yeh bahut hee achchha hoga ki pratyek shraddhalu samay nikaal kar rozana Sandhya mantron se agnihotra kare kyunki agnihotra karne se doosron ka bhi kalyann hota hai.

Harsh Singh: Sadar charan sparshswamiji.swamiji aapne bataya tha ki vedomein women ko judge banne k liye bolaa gaya hai.swamiji maine dayand ji ka yajurved bhasya padha usme bhagwaan ne women matters kliye women judge appoint karne k liye kaha hai.Aise swamiji striyoke matters k liye women adhikaari ko appoint karne kobola hai.Swamiji ek cheez confirmkarni thi kya kisi bhi rajya ka jo prashaashnik karya hai kya woh bhi striyo kokarne dena chahiye?? jaiseswamijimodern times mein I.A.S. (indian administrative service) and I.P.S( indian police service) . kyuki swamiji mere papa 20saalsepolice service mein hai, aur unhone bataya ki striya jo appointed hotihaiwohprashahsnik karya sahi tarikese nahi kar paati .isliye swamiji mera yahi question hai , kya striyoko higher officer ki rank jaise distryct collector, supridentant of police,acp, commisioner jaise important position jo rajya ke prashashan ke mukhya pad hai, kya yeh strirokodene chahiye??/kyuki swamiji maine atharved aur yajurved mein dekha ki striyo ko kewal women matters se related positions denichahiye naaki prashashan se.striyoko prashashanik padokodeniki aagaya maine vedomein nahi dekhi.swamijikoigalatihotoh maaf kariyega aur please sahi baat bata kar correct kariyega.ek baat aur swamijikya striyoko governance waalipostiondenichahiye jaise chiefminister and primeminister ,MLA YA MP..purane kaalk hissab se kya raja kiposition striyo ko deni chahiye?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jahaan jahaan judge sambandhi nirnnaye liye jaate hain jaise kewal I.A.S. aur shareerik parishram vishesh nahi karna padta wahaan wahan nari ko kartavya nibhane ke liye karya saumpana uchit hai. Phir bhi yadi aaj kee pareesthitiyon mein poore vishwa mein women ko yadi hawaldar, sub inspector, S.H.O, ACP,DCP, commissioner aadi prashasnik zimmewari soumpi ja rahee hain to inhein challenge karna achchha nahi kyunki aaj ved vidya ka surya ast ho chukka hai atah jis bhi country ke samvidhan mein jo-jo kanoon banaye gaye hain hamein unhein manna chahiye. Upar ke matter ko dhyan mein rakhte hue isliye C.M, P.M, M.L.A, M.P aadi posts par nari ko rakhna galat nahi theek hai, kyunki unkee yeh karya judge se sambandhit hain.