F: Jai shree krishna, swamiji ki jai, I am chanting continuously hanuman mantra ” om namo hanumate bhai bhanjanai sukham kuru fat swaha” At med night i awake suddenly and got fear of something. This happens every day. Please guide me why it happens. Main hanuman mantra ” om namo hanumate bhai bhanjanai sukham kuru fat swaha” pure din man me bolta hu, rat ko 2,3 baje main jag jata hu. Dar lagta hai. Kyu aisa hota hai. Muje samjaye.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Aapko mera Ashirwad. Vedon mein sirf ek nirkar, Ishwar kee Pooja karne ka updesh hai. Jis Ishwar ne yeh sansaar banaya, uskee palna kar raha hai aur samay par sanhaar kar deta hai. Veer Hanumanji ne bhi usee ek nirakaar Ishwar kee Pooja kee thee aur Valmiki ramayan mein varnnan hai ki Hanumanji chaaron vedon ke gyata the. Atah kyun na hum bhi Hanumanji kee tarah vedon ka Adhyayan karein aur Hanuman jee kee Pooja karein. Vedon mein Ishwar ke anant naam hain jinmein ek naam Om hai. Av rakshane dhatu se Om shabd nishpann hota hai jiska ek arth raksha karne wala bhi hi. Aap Om shabd ka jaap kiya karein is se Ishwar aapkee raksha karega aur darr ka vatavaran nahi banega. Aagey aap swatantra hain, jo aapko theek lage wahee karein.

Anonymous: Panama Guruji..Abhi Aap ka health kaisa Guruji. Guruji Abhi hum ghar mei murty pooja nahi kart. Havana hard din karte hai. Baton mei jab mei ye bat kaha tho bone laghe ki murty pooja tho Hindu dharam ka praman hai..Murty pooja nahi karna who Arya dharma hai.. Guruji ye Arya dharam aur hindu dharam kya hai..

Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Ishwar kripa se main theek hoon, beti. Aapko sabko ashirwad, sadaa sukhi raho. Aap aisa karke Ishwar kee aagya ka paalan kar rahein hain, Ishwar aapko sadaa sukhi rakehin. Itihaas jaanta hai aur vidwan log bhi jaante hain ki hum arya hain. Hum Sindhu nadi ke is kinaare par base hue hain. Is samundra ke pehle kinaare par basey anya jaatiyon ke logon ne hamein Sindhu kehna shuru kiya. Sindhu bolte-2 Indu kehna shuru kiya aur phir Indu bolte-2 hamein Hindu kehna shuru kar diya. Yeh Hindu naam hum Aryaon ko Greek aur Yunaniyon ne diya, jo hum ne sweekar kar liya. Waise Hindu shabd ka arth chor aur kafir hai. Parantu hamein ab yeh naam nahi chchodna hai, isee se hamaree pehchaan hai par hum chor- daaku nahi hain. hum vedon ko jaanane wale arya hain.

Arya kewal vedon ka pathan-paathan karte hain aur agnihotra aadi se Ishwar kee Pooja karte hain. yeh nirakaar Ishwar kee Pooja hotee hai aur pichchle 2000-2500 years mein manushyon ne apne swayum ke mazhab banaye jismein hum hindu murti-pooja, devi-devtaon kee Pooja aadi karne lage kintu ye Pooja vedon mein varnit nahi hai.