Anupam: धन्यबाद गुरुजी। गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी आपके द्वारा भावार्थ की गीता एक वैदिक रहस्य के चौथे अध्याय को पढ़ने से जाना कि श्रीकृष्ण महाराज मुक्त जीवात्मा थे जो अपनी मर्जी से कभी भी जन्म लेकर लोगो का कल्याण करके लौट जाते है तो गुरुजी ऐसी मोक्ष प्राप्त आत्माएं तो जन कल्याण के लिए पुनः पुनः शरीर धारण करती होंगी।क्या योगी जन ऐसी आत्माओ को पहचान लेते होंगे।पर गुरुजी श्रीकृष्ण जी अर्जुन को बताते है कि वह अपने पिछले जन्मों को जानते है पर इससे यह कैसे सिद्ध होता है कि उन्होंने इस योग विद्या के विषय मे विवस्वान अर्थात सूर्य ऋषि को बताया था।यह ज्ञान तो ईश्वर द्वारा दिया गया था आप बताते है वे ईश्वर नही थे ईश्वर के सम थे और गीता के चौथे अध्याय मैं वे खुद को वह ज्ञान देने वाला कह रहे है तो क्या इस तरह की बात सामान्य जन के सामने उन्हें ईश्वर के रूप मे प्रगट नही करती।
Swami Ram Swarup: Mera tumhein ashirwad, beti. Yeh mukta jeevatma kee apni divya mauj par nirbhar hai ki weh shareer dharann karey ya na karey. Bhaav yeh hai ki yeh koi ek principle nahi hai, pacca niyam nahi hai. Yogi jan toh avashya pehchaan lete hain. Beti, Geeta shloka 4/1 mein hee yajurved mantra 31/7 aur sankhya Shastra sutra 5/48 se hee siddh kar diya hai ki ved Ishwareeya vanni hai, manushya kee vanni nahi hai. Is Avichal, aparivartannsheel niyam ko sadaa yaad rakhein.

Is Niyam ke anusaar ved Sri Krishna Maharaj se utpann nahi ho sakte. Sri Krishna Maharaj dwapur mein aaye hain aur Ved anadi hai. Ab prashan yeh hai ki Sri Krishna Maharaj kyun bol rahey hain? Geeta 4/1 shloka kee vyakhya mein aap padein, wahaan kaha hai ki Ishwar ne Agni, Vaayu, Surya (Aditya) aur Angira, in chaar Rishiyon ke hriday mein yeh gyan-vigyaan is prithvi ke aarambh mein utpann kiya. Yeh niyam bhi atal hai isliye pratyek prithvi ke aarambh mein Parmeshwar amaithunni srishti ke chaar Rishiyon ke hriday mein hee ved gyan prakat karta hai, anya kisi ke hriday mein nahi prakat karta. Isliye Sri Krishna Maharaj ke hriday mein bhi prakat nahi kiya. Aap beta shloka 4/1 kee poori vyakhya dhyan se pado. Vyakhya ke anta mein samjhaaya hai ki Brahmleen Yogi Brahm ke anand mein dooba hua swayum ko Ishwar ke samaan keh sakta hai. Atah Sri Krishna Maharaj bhi Ishwar ke sthaan mein apne ko upar likhein shloka mein Aham Proktvaan arthat meine kaha tha, aisa keh rahein hain. Iske aage aap swayum pad lein. Bhaav yeh hai ki Brahmleen avastha mein Yogi apne ko brahma hee mehsoos karta hai isliye us param anand mein doobe Sri Krishna Maharaj bhi, apne ko brahma mehsoos karte hue aham shabda Brahm ke liye prayog kar rahein hai, apne liye nahi arthat Sri Krishna Maharaj ke andar Ishwar keh rahey hain ki maine yeh vedon ka gyan upar kahey chaar Rishiyon ko diya, yeh Krishna maharaj nahi keh rahe.