Gaurav Gaur: Adarniya swamiji, Mera prashan hai ke, “anulom vilom gayatri mantra kya hai, ye kaise kiya jata hai aur iska kya prabhav hota hai”. Dhanyawad.
Swami Ram Swarup: My blessing to you, my son. Is prashan ka uttar acharya ke saamne baithkar, practically samjhaya jaata hai, likhkar nahin kyunki lom-vilom kriya prannayam se sambandhit hai isliye Gayatri mantra ka jaap prannayaam dwara karne kee vidhi aspirant ko saamne baithkar practically sikhayee jaatee hai.

Mayank: SWAMI JI MAI APNE MATA PITA KI BAHUT SEVA KARNA CHAHTA HUN AUR UNKI HAR ICCHA KO PURA KARNA CHAHTA HUN UNHE KHUSH DEKHNA CHAHTA HUN JISKE LIYE MAY GOD SE PRAYER BHI KARTA HUN KYA GOD MERI SUNEGE AUR ISE JANAM ME MAI UNKI SEVA KAR PAUNGA PLEASE ANSWER ME IN MY GIVEN MAIL ID.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, vedon mein yahi updesh diya hai ki yadi koi is prithvi ke sukh prapt karna chahta ho to weh mata-pita kee is prakaar seva karey ki weh sadaa prasann rahein. To yeh aap niyam banaa lo, yeh to apne hath mein hai. Aapka hee drid nishchaye hona chahiye ki aap turant mata-pita kee sewa shuru kar do.