Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी गीता एक वैदिक रहस्य के प्रथम भाग के पेज न.416 पर आपने लिखा है कि जो साधक योगाभ्यास करता हुआ अपरिग्रह पद को प्राप्त कर लेता है तो उसे अपने पिछले जन्मों की जानकारी हो जाती है।गुरुजी क्या यम के चौथे चरण मैं ही ये संभव है।गुरुजी जैसे आपने बताया कि यह जानने के लिए भी योगाभ्यास आवश्यक है तो वे लोग जो जन्म लेने के बाद अपने पहले के जन्म के बारे मे बताने लगते है व अपने पिछले जन्म के स्थान व परिवारीजनों को पहचानते है क्या वे पहले योगाभ्यासी रहे होंगे।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Yam ke paanchve charan mein yeh siddhi prapt hotee hai ki Yogi ko is prakaar ka gyan hota hai ki main kaun hoon, kis prakaar ka hoon, ye janam kya hai, is janam ka karann kya hai, aagey kaise janam honge athwa kis prakaar ke honge, is prakaar Yogi mein bhoot, bhavishya aur vartamaan in teenon kaalon se sambandhit atma swaroop ko jaanane kee ichchha swataha ho jaatee hai.

Yeh siddhiyaan yamo ke siddh hone par prapt hotee hai. yeh pramaanik baatein nahi hai ki janam lene ke baad koi apne pichchley janamon ko jaan jaata hai anyatha weh baalak kuch samay ke baad sab kuch bhool kyun jaata hai aur apne naye mata-pita ke ghar mein badaa hokar vivah ityadi karke Jeevan vyateet karta hai.

Biju: GURUJI can you send me the book Yagya Karam Sarvashresth Ishwar Pooja by V.P.P. PLEASE?
Swami Ram Swarup: Please send your postal address to enable us to send the book.