Amar: Maharaj ji pranam aap se ek bte janeni hai. Kya vedo mai aarakshan(reservation) ke koi bte ke gyi hai? Kya sirf jaati ke aadhar per ye dena thik hai. Gen student ache number laake bhi fhe jata hai. Bt cote wle aage nikla jate hai. Jb hum bachpan mai bhut chote hote hai. School mai ehe paise diye jate hai. Tab to hume pta bhi ni hota ye hai kon.. Mere khene ka mtlab hai gob ye samaj he to ye btata hai ke wo reservation wle hai. Ek gen gareeb to ase he rhe jata hai. Kya maharaj ji unki pdai free ho jaye useme koi prb nhi. Bt ye kon sa system hai wo 30 laye to ander hum 70 laye tb bhi bhr. Jb ek bacha born hota hi koi ye bta skta hai ye kis dharma se hai kis jati se hai. Bhedbhaw agr koi kreta hai to wo samaj hai. Log ku khete hai ye hindu hai ye mushlim agr asa hota unki alaga earth alag sun hona chaiye tha. Jb sbe ek hai fir sbe alag alag kaise ho skte hai.. Btaye mahraj asa ku huaa..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nahi, Vedon mein reservation aadi ki baat nahi hai. Vedon mein caste system bhi nahi hai. Karmanusar varnna banaye jaate hain jaise jo ved vidya ka gyata hai weh Brahmin, jo balwan hai desh kee raksha karne mein samarth hai weh Kshatriya, jo vyapar mein saksham hai, vitrann prannali mein saksham aadi gunnon se yukta hai , theek-theek vyapar kar sakta hai, door-door vyapaar ke silsile mein yatra kar sakta hai, weh Vaishya aur jo vidya prapt nahi kar sakta aur jismein upar ke teenon gunn nahi weh shudra. Jaati mein manushya yadi gareeb hai to unhe reservation deina uchit hai. Yeh jaatiwaad ke anusaar jo kam number wale aage bad jaate hain, ityadi jo aapne varnnan kiya aur zyada number lane wale pichhey reh jaate hain, aadi jo aapne varnann kiya, is vishay mein sarkar ko hee sochna chahiye ki anyay na ho, voton kee rajneeti na ho. Han! Parmeshar bhed-bhaav nahi karta, manushya hee bhedbhaav kee bhavna utpann karte hain. Is par government ko sochna chahiye.