Bhagat: Maharaj ji agr koi samadhi maan ho. To kya useki 15 pediya tar jati hai. Iseka mtlab kya hota hai. Agr useke kul ke log yogi na ho sadana na krete ho kya, tab bhi wo tar jayenge.. Ya fir unhe next born mai god fir yogi ke lul mai bhejega. Ine bte ka mtlab kya hota hao plz maharaj ji samajha, dijiye..
Swami Ram Swarup: Samadhimaan kee nahi Yajyen karne wale kee 15 peedeeyan tar jaati hain. Tarne ka matlab to Ishwar prapti hee hai aur weh ek atal niyam ke antargat aati hai. Isiye 15 peediyan manushya yoni mein aakar jab tak vedic niyam par nahi chaltee tab tak nahi tar saktee.

Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी क्या ओशो वेदज्ञानी थे।गुरुजी अक्सर यही कहा जाता है कि हमे अपनी सोच मैं सदा सकारात्मक होना चाहिए इससे दूसरे की नकारात्मकता समाप्त होने लगती है ।गुरुजी क्या ऐसा वेदधारित ग्रंथो के अध्ययन,प्रभु और गुरु सुमिरन व हवन करने पर होने लगता है।आप अक्सर बताते है कि इनसब को व्यवहार का अंग बनाना चाहिए उस हेतु ओर क्या प्रयास किये जाने चाहिए।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Beta , kya aapne Osho kee kitabon mein, bhashann mein ya uske baare mein suna hai ki weh vedgyani tha, uske bhashann, karmon se kya siddh ho sakta hai ki weh ved gyani hai. Aisee baton mein aap beta khud samajhdaar bano. Osho kya Yajyen karta tha?

Vedic sadhna mein naam ved sunna, nitya dono samay hawan karna, samay par guru ke niwas sthan par jaakar yajyen karna, Yogabhyaas karna aadi bahut achchhe achchhe karma karne kee shiksha hai. Aise shubh karma karne se sab gunn apne aap aa jaate hain. Bure karma chhodne ka nitya abhyaas karna chahiye.