Anupam: Guruji sadar pranam.nav varsh ki hardik badhai.guruji maine aaj se apne yaha hawan karna shuru kia.bahut accha laga.mere paros me 1 aryasamaji rehti hai unse seekha.guruji kya har ka hawan karne ka tareeka alag alag hota hai.koi kisi kram me mantra bolta hai to koi kisi me .thora confusion hai.apne mujhe jo pustak bheji hai usme bahut sare mantra hai.koi patli si hawan karne ke mantro ki pustika ho to please dijiyega.hawan kund kya tambe ka hi use karna hai.guruji ram chandra ko ikshwaku vansh ka kehte hai.ikshwaku kya rishi the.krashnji ko yadhuvanshi kehte hai yani yadav.to kya jati pratha tab bhi thi.guruji apke 1 answer me para ki hanumanji vaner tribe ke the .to unka bander vala swaroop kyi famous hua.guruji shivji vishnu ya kisi bhi bhagwan ke jo chitra banaye jate hai unme dari muche adi na hone ke perche kya karan hoga.guruji pehle me navdurgo me agyari karti thi.gobar ka upla jalakar usper ghee kapoor long misthan rakhna.guruji kisi ne bataya ki ye agyari hawan ka laghu roop hai.kya ye sahi hai.guruji hawan karte samay kya deep jalate hai.kya prashad bhi dete hai.kya hawan ke bad samidha ki rakh ko pero me dalna chahiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Aapko bhi badhai beti. Hawan God kee sachchi Pooja hai. Aapne bahut uttam karya prarambh kiya hai. Ishwar aur Vedic vidwaan nishchit hee aapse prasann honge. Aapne theek jagah se seekha hai, pratyek arya samaji ved mantron se hee havan karta hai. Havan kund lohey, tambe, kisi bhi dhatu ka ho sakta hai. Ikshvaaku ek Raja huye hain aur unke hee vansh mein Sri Ram ka janam hua tha.

Vedon mein koi caste-system nahin hai. Yaduvansh chandrama kee sheetalta se concern rakhta hai. Isee adhaar par Shri Krishna Maharaj ka vansh Yaduvanshi kehlaya hai. Hanuman ka bandar wala swarup Tulsikrit Ramayan dwara prasiddh hua parantu weh bandar they nahin. Yeh God nahin they aur manushya ho ya dev ho, inkee dadhi-moochhey nikaltee hain. Koi rozana inhein saaf kar deta hai, koi nahin karta. Nahin, agyari havan ka laghu swarup nahin hai. Havan karte samay koi-koi deep isliye jalata hai ki yadi hawan kund mein agni bujh jaye to kapoor daal kar diye se usey fauran jalaa liya jaaye. Samidha kee thandi rakh ko kheton mein ya ped kee jad mein daal dena chahiye.

Anupam: Guruji sadar pranam.nav varsh ki hardik badhai.guruji maine aaj se apne yaha hawan karna shuru kia.bahut accha laga.mere paros me 1 aryasamaji rehti hai unse seekha.guruji kya har ka hawan karne ka tareeka alag alag hota hai.koi kisi kram me mantra bolta hai to koi kisi me .thora confusion hai.apne mujhe jo pustak bheji hai usme bahut sare mantra hai.koi patli si hawan karne ke mantro ki pustika ho to please dijiyega.hawan kund kya tambe ka hi use karna hai.guruji ram chandra ko ikshwaku vansh ka kehte hai.ikshwaku kya rishi the.krashnji ko yadhuvanshi kehte hai yani yadav.to kya jati pratha tab bhi thi.guruji apke 1 answer me para ki hanumanji vaner tribe ke the .to unka bander vala swaroop kyi famous hua.guruji shivji vishnu ya kisi bhi bhagwan ke jo chitra banaye jate hai unme dari muche adi na hone ke perche kya karan hoga.guruji pehle me navdurgo me agyari karti thi.gobar ka upla jalakar usper ghee kapoor long misthan rakhna.guruji kisi ne bataya ki ye agyari hawan ka laghu roop hai.kya ye sahi hai.guruji hawan karte samay kya deep jalate hai.kya prashad bhi dete hai.kya hawan ke bad samidha ki rakh ko pero me dalna chahiye.
Swami Ram Swarup: Blessings beti, answer as above.

Anupam: Guruji pranam.guruji hawan kya din me kabhi bhi kia ja sakta hai.sandhya mantro ka uccharan kis samay karna chahiye.guruji jaise koi mere parivar me navdurge ka brat rakhta hai v ayari jalane ki jagah hamare sath hawan me shamil hota hai v long charata hai hawan me.to esa kia ja sakta hai na.amavas ya purnima ke hawan me kya vishesh kia jata hai.
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Suvidhanusar hawan kabhi bhi kiya ja sakta hai, parantu prayaha prataha kaal aur sanyakaal hee jigyasu karte hain. Uchcharann bhi jab- jab hawan karte ho, tab tab karna chahiye.

Han! Aisa kar sakte hain. Amavasya aur poornnima ke hawan mein vishesh yeh kiya jaata hai ki jigyasu prayatna kare kee weh vidwanon ke niwaas sthan par jaakar hawan kare athwa unhein apne ghar par aamantarit kare. Yadi aisa sambhav na ho to swayam Yajyen kare.