Anupam: Guruji pranam.guruji hinduo me jo suhagin mahilaye brat rakhti hai jaise karwachauth jisme chandrama dekhne ke uprant pani v bhojan liya jata hai v gangaur jisme pati ke liye brat rakhte hai.kya inka vedo me ullekh hai.ye brat rakhne chahiye ya nahi.guruji jis mandir me abhi tak moorti puja karti thi ab uska prayog kis roop me karoo.guruji diwali v holi ko hawan kis samay karna chahiye.
Swami Ram Swarup: Hindu mein suhagan vrat rakhtee hain, weh swayum ka banaaya hua marg hai isliye jis-2 kee ichcha ho weh vrat rakhey parantu vedon mein iska varnnan nahin hai. Vedon mein aayu, yash, dhan aadi badaane ke liye havan/Yajyen kee aagya Ishwar ne dee hai. Vrat aur moorti Pooja ka vidhaan ved mein nahin hai islye yadi aap moorti Pooja aur vrat nahin karte to Ishwar aapse prasann hai. To moorti ka kya karna chahiye, yeh aapkee ichcha ke upar nirbhar karta hai, jo chahe karein but moorti Pooja na karein. Diwali-holi mein pratah-sainye havan karna chahiye.

Anupam: Guruji pranam.guruji yagya v agnihotra me kya anter hota hai.guruji ram ke van jane me manthara doshi hai per kya esa bhi hai ki ram ko van me rehne vale rishio ki sahayata karni thi kyoki asur rishio ko yagya ke samay pareshan karte the.to ye kam to rishio ki acchai ke liye hua phir manthara unke rishio ke pas jane ka karan bani to manthara ka esa karna kya ishwar ki or se pehle se nishchit tha.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Shayad is prashan ka uttar pehle bhi diya hai ki Yajyen chaaron ved ke vidwan kee presence mein hota hain, weh vidwan vedon ke mantron ka arth aadi bhi karta hai, Vedic satsang bhi karta hai aur agnihotra jigyasu vidwan ke bina hee swyum karta hai. Ram ko vanon mein bhejne ka manthara ka swayum ka vichaar tha.