Deep: Pranam Guruji. Aap kaise hai? Parampita aapko hamesha swasth rakhe. Guruji mere kuch prashna jage hai maan me, kripaya unka samadhan kare. Hey Guruji, kya koi apne ichanusar apna punya apni marzi se kisi ko daan kar sakta hai? Ya apni ichanusar apne punya ko use kar sakta hai, e.g., agar kisika koi bohot apna hospitalized ho aur WO insaan ishwar ko sakshi rakhkar ye sankalp ya blessings de ki agar usne koi punya kiya hai to WO Jo hospitalized hai WO swasth ho jayenge, ya fir, WO insaan ye bole ki ” mai apne Sara punya ka fal se, apne us relative ko swasth ho jai yeah kamna karta hu “, to kya aise sankalp ya blessings ya baton ka vastab me koi value hota hai? Kya koi sachme apne icha se apni sanchit punya ko use karsakta hai? Is it possible? Kya sansar me koi aisa karne me saksham hai? Mere keyal se kewal Jo yogi rishi ya sadhak hote hai wohi shayad ye karne me saksham ho, ye mai sochta hu, magar ultimate truth to aap se janna hai Guruji, kyunki aap Jo v bolenge WO as per Vedas I.e., direct ishwariya vani k saman hi hogi, isliye aap is vishay me pura gyan dekar kripa kare hey Guruji. Mujhe karmafal, punyafal, paapfal, inka use, in sab vishayo ko janne ki badi icha hai. Mai janta hu ki aap bohot busy rahte ho, isliye kripaya jitna samvab ho utna hi mujhe gyaan dekar kritarth kare. Aapko mera pranam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. dhanyawaad, beta.

Nahi bata, jisne karma kiye hain, phal usi ko prapt hota hai. Apne punya karma ka phal kisi anya ko nahi diya ja sakta.

Isliye hospitalized patient ko bhi apne punnya karmon ka phal nahi diya ja sakta. Sanchit karmon ko bhi use nahi kiya ja sakta. Rigved mantra 10/135/1,2 mein yeh updesh hai ki Ishwar ne hamein yeh manushya ka shareer pichhle janamon ke achchhe bure karmon ka phal kramashaha sukh-dukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai arthat hum apne pichle kiye karmon ka phal khud bhogenge kisi aur ko nahi de sakte. Mantra mein aage kaha kee jo hum is janam mein achchhe bure karma karenge, unka phal is janam mein nahi bhogeinge, agle janamon mein bhogeinge. Lekin agle 3,4 mantron mein kahaa ki jo manushya ved evam ashtang yog vidya ke gyata vidwan ke ashray mein aakar is janam mein ved marg par chalta hai to samajho weh vidwanon kee naav (boat) mein baith gaya hai aur is bhavsagar se paar hokar moksh pad prapt kar leta hai.

Three types of Deeds

There are three types of deeds (karmas) – sanchit, prarabhadh and kriyamann. Suppose one soul has to take birth (body). It means he has to face total number of deeds of his all previous lives and these deeds are called sanchit karmas but sanchit deeds are huge/unlimited and cannot be faced in one life. So the karmas which can be faced in one life are called prarabhadh (luck-destiny). So God has not made our luck at His own but Almighty God has considered the deeds which we have already done.

Yajurved mantra 7/48 clarifies that human being is free to do any deed good or bad but God only awards the result. Now the balance deeds from sanchit deeds will be counted in the next life. Now the deeds which we do in our day today present life are called kriyamann.

If we do pious deeds according to Vedas, shastras and holy books and based on pious preaches of Rishi, Muni/learned saints then our all sanchit deeds are burnt and we can get salvation. Human beings are free in the matter of doing deeds good or bad. But result will be awarded by God. So we must worship and do pious deeds under guidance of a learned Guru. One should go always ahead for hard working, pious deeds, worship to make future bright himself. One should always work hard towards a right path.

Worship does not mean that we are free to discharge only our family duties, education, etc., but rather it is a sin. We have to get progress in both way simultaneously i.e., spiritualism and worldly progress i.e., science, education, duties towards family etc. God creates the universe according to His eternal law framed in Vedas which are always unchangeable and unchallengeable. So we have to follow the law of God always to get long happy life.

Anupam: Guruji sadar pranam.guruji sapno ka kya koi arth hota hai.aapne kisi ko diye utter me bataya ki mantradrasta rishi swapna me aate hai.v hatishchandra ke swapna ka udaharan bhi dia.guruji mantradrashta rishi se kya tatparya hai.sapno ka jeevan me aana kis baat ka soochak hai.kisi or ko diye answer me aapne bataya ki pregnent lady ko per ke neeche khada nahi hona chahiye shayad rat ke samay me.esa kyo hai guruji.guruji mere ek parichit ki bitiya hai.veh 9vi class me padhti hai.use raat me padhne ki aadat hai v school se aakar khana khaker so jati hai.mene us bacchi ki ma se kaha ki aap iski dincharya vyavastit karo to unka kehna tha ki me bhi apne padhne ki awastha me ese hi karti thi isliye me ise bhi sone deti hoo pardh to leti hi hai.vaha baithe kuch or logo ne bhi yahi kaha ki ye to apna apna padhne ka tareeka hota hai isse koi fark nahi padhta ki aap kis samay padhte ho.mujhe laga shayat mai hi galat soch rahi hoo ki din me padha jaye v ratri me nidra li jaye guruji sahi gyan de.
Swami Ram Swarup: My blessinmgs to you, beti. Beti maine upwaas ke baare mein us din detail mein bataaya tha ki Dashrath ne Sri Ram ko sainkaal bhojan na karne kee agya dee thee jisse adhik shareer ko shudh rakhkar Sri Ram agnihotra, Sandhya mantra aadi karein aur prataha kaal uthkar bhee Sandhya mantra ka uchcharann aur agnihotra karke bhojan karein. Iska matlab Ekadashi aadi ka vrat rakhna nahi hai.Charon vedon ka gyan parpt karke aur ashtang yog kee sadhna se Samadhi prapt karke jo apne andar Ishwar kee anubhuti karta hai aur sath mein vedon ke mantron ka darshan bhi karta hai, usey mantra drishta rishi kehte hain.

Swapan prayaha jhooote hote hain. I paste my article in this regard:-

Dreams

The dreams are mostly false. Dreams are based on the scenes, stories listened in previous life as well as in present life. Samveda is upasana kand and tells worship for one immortal formless God, Who is Almighty, Omnipresent, Omniscient. He creates, nurses and destroys the universe and again creates, Vedas say that no one was equal to God and neither no God took birth in the past at present and will never take birth in the future too. There was one God, is one and will ever remain one. He is only everlasting eternal and unchageable king/lord of the universe. So we all must worship him only. In this connection guidance from a learned acharya of Vedas is necessary.

It is true that dreams come on the basis of the scene which we have seen in present as well as previous lives’. For example- if a person has never seen a fountain and he sees fountain in dream, it means he had seen the fountain in his previous life, the effect of which was imprinted on his chitta (mind).

Secondly, dreams are false. Dreams may give some pleasure but become painful sometimes. If a business man observes that he was a king in the dream but when he will wake up, he remains business man only and not the king. Vedas state that one should try to do worship of God to remove the occurrence of dreams in sleep.

Future is always based on past birth’ deeds or is based on present pious deeds. future is therefore in own hand, he who discharges his moral duties faithfully does hard deeds, pious deeds with full concentration, devotion and dedication, his future is always bright. One should attend satsang making time available to learn truth and know pious deeds to make future bright.

Tree ke neeche ratri mein Co2 nikaltee hai, us se bachein. Ishwar ke niyam ke anusar ratri sone aur aaraam karne ke liye hai aur din karya karne ke liye hai. Parantu is niyam ko yadi koi badalee karta hai to yeh uskee apnee marzi hai. Usey koi nuksaan nahi hoga han! Usey koi labh bhi nahi hoga kyunki Ishwar ka niyam badla nahi ja sakta.