Varun: Pranam Guruji, Guruji in your book, bhagvat Gita part 4, you have explained about nishkam karma, where you have explained that karma should be without kamana, but again Guruji please explain me how will a person work if he is not having the desire to study earn or start a business etc. In the book of daily havan mantras again you have written that one should have kamana of doing work and avoid laziness. Please help me understand the meaning of nishkam karma as I was unable to understand it and it has confused me.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Here, the meaning of kaamna is result(phal). So one should work hard with a target but without thinking about its result.

Anupam: Guruji pranam.guruji valmiki ramayan ke pravchan me aapne bataya ki Hanumanji vaayuyan se gaye the Tulsidas ji ne udh ker jane ka ullekh hai.kya us samay vaayuyan the.guruji ramji ke kulguru vashishista the v jaisa aapne bataya kulguru jinda aachary hote hai .hamare ghar to mavas ke din kuldevta ki puja ek peepal ke neeche devtao ka astitva manker kerne ka vichar chala aa raha hai.kulguru or kuldevta mane to ek hi baat hui na.guruji mai apne ghar ke bujurgo ko kaise samjhau.guruji pehle jo kul guru hote the ve kya ek parivar ke ek hi hote the ya ek guru kai parivaro ke hote the.guruj aapne kuran ka bhi adhyayan kia hai.ye bhi kya vedo ki tarah ishwariya vani hai ya manav krat.ye kya arabic language me hai.logo se suna hai ye farishto ne likhi hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Han! Sri Ram ke samay mein achchhe-achchhe vimaan they kyunki science vedon se utpann hui hai aur vedon se utpann science mein hee vimaan etc., banaane kee technique hai. Ved vidya srishti rachna ke arambh mein hee Ishwar se prapt ho jaati hai. Yeh jo aajkal kul guruon kee Pooja kee parampara banai hai, weh hum manushyon ne swayam banai hai. Parantu yeh ved virudh hai. Ek guru kai parivaron ke guru hote they.
Ved Ishwareeya vaani hai aur yeh ved kee vaani sadaa alaukik sanskrit mein hee hotee hai.