Chetan: Guruji namaste . guruji apne kaha tha ki har aadmi ko ved marg par chalna chaiye . aur apne aap uss ki yash kirti aur image badh jati hai . lekin guruji agar koi ved marg par chalta hai . aur fir bhi vo galat kaam kar deta hai to mujhe ye btaiye ki uske baad vo apni image kharab hone ke karan chintit rahe ya usmein sudhar kare . agar sudhar karne ke baad bhi vo galat karta hai . to kya usse image aur yash kirti ke bare mein chintit rehna chaiye ya fir bhi sudhar karna chaiye . mere kehne ka matlab ye hai ki hum galat kaam krne ke baad image ya pratishta ke liye chintit rahe ya usmein sudhar kare . sudhar jyada important hai ya chintit rehne apni image ke liye . agr hum apne jeevan mein bar bar galat kare aur baar baar sudhar karein . kya ye sahi bola h maine ya past mistakes ki vajah se image khrab ho gyi iski vjah se chintit rahe . to sudhar important hai ya image ki vjah se chintit rehna . please muje iska answer dijiye
Swami Ram Swarup: Namasteji. Yadi koi ved marg par chalta hai phir bhi woh galat kaam karta hai to iska sahee matlab yeh hua ki woh ved marg par chal hee nahee raha , kewal prayatan kar raha hai aur weh baar-2 vedon kee shiksha ko grehan karey, apne mein sudhaar laye aur Vedic shiksha par acharann karey.

Ismein chinta kee koi avashyakta nahin hotee. Insaan baar-baar Vedic shiksha ka abhyaas karey aur Jeevan mein utarey, ek na ek din usey safalta avashya prapt hogee. Pratishtha to swayum hotee hai, iske ichcha nahin karnee chahiye. Kewal vedic shiksha ko acharann mein laaney ka abhyaas karein. Sudhaar mein hee sudhaar hai. Image kee chinta na karein. Baar-2 sudhaar karein, baar-2 galat karein, yeh to kuch bhi nahin hua, yeh to paap karma karne aur paap karma ka phal dukh bhogne walee baat hui. Sudhaar ka matlab hota hai ki jo paap karma humne kiye hain, unko Jeevan mein dobara na karein. Issey hee prayashchit kehte hain aur aisey paap karma Yajyen mein Ishwar kshma kar deta hai parantu yadi paap karma karne wala prayashchit karke phir dobara wahee ya anya paap karta hai to weh mahapaapi ban jaata hai aur uska koi bhi paap karma kshma nahin hota. Uske aagey aaney wale janam bhi bigad jaate hain.

Chetan: Guruji namaste mujhe ye btaiye ki apne kaha ki yadi koi ved marg par chalta hai aur fir bhi galat karta hai to apne kaha ki uske baare mei samaj mei pata chalta hai aur uski image badal jati hai to uske baad vo apni image badal jane ke karan chntit rahe ya uske baad sudhar karei. Kya zyada important hai . kykoi asa kahin likha dekha tha maine if money is lost nothing is lost if health is lost something is lost if character is lost everything is lost . to guruji mujhe ye btaiye character ya image kharab hone par chintit rehna chaiye ya sudhar karna chaiye . fir asa kyo likha hai . aur maine ek guruji se pucha tha ki unhone iska matlab bataya tha ki humein apne achran ko sabse avval par rakhna chaiye .iska matlab ye niki character is lost to sab kuch khtam Iska mtlab hai ki humein apne achran best rakhne chaiye aur fir bhi kuch galat ho jata hai life mein to usmein sudhar karein aur fir bhi galti ho jae to fir sudhar karein . sudhar hamesa chalata rehna chaiye .image ke bare mein chintit bilkul ni rehna chaiye . chahe life mei image mile ya na mile . only humein sahi rashte par chalna chaiye . galat ka saath nhi dena chaiye .image mile to thik hai na mile to bhi thik . kya ye sahi kaha unhone
Swami Ram Swarup: Namasteji. Answer as above.