Anonymous: Swami jee pranam . Maine niyog se related questions pucha tha pehle apne refernece ke lie bola tha . to swami jee manusmriti 9.57 ke anusar bad e bhai ki patni hoti hai “Guru patni” ke saman aur chote bhai ki patni hoti hai daughter in law ke jaise? ab aap batiye ki niyog aur vivah kasie possible hai ? emergency ka matlab ye to nahi ki banda maryada bhul jaye? ye sab padke bada dukh hota hai meri shanka ka samadhan karein dhanyvaad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Shayad maine pehle bhi likha hoga ki aaj ke yug mein niyog ko apnana theek nahin kyunki niyog vedon ke gyata aur jisne apnee indriyan aadi mann ko vash mein kar liya hai, usey hee maryada mein rehkar niyog karna hota hai. Anya ke liye to yeh ek vishaye-vikaari matter ban jaata hai. ved adhiktar to yahi gyan deta hai ki vidhva naari yadi brahmcharya dharann karke rahey to uttam hai kyunki main is yug mein jahaan ved vidya ka surya asta sa ho gaya hai wahaan niyog ka gyan dene mein asamrth hoon isliye yeh prashan kisi Arya Samaj ke vidwan se poochchein.

Raj: Mahadev Har, I would like to ask if the full shukla yajurveda madhyandina samhita is available in Ved Mandir Ahmedabad I would like to buy one from here because I have heard that your mantras have no mistakes.

Thank you

Swami Ram Swarup: You are advised to make contact with Ved mandir, Ahemdabad or M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.

The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is –

www.vedicbooks.com to purchase the book. This ved mandir is situated in Himachal.