Neha: Guruji pranam . aapeki tabiyat ksi hai? guruji maine aapeka hawan wla video dekha . mera ek qus hai aap se guruji vedo me kha hai samadhi milene me bhut janam lge jate hai. ise janam me to guruji aap mil gye aapene hr cheze itni achi tarah se smjhai hai . me daily hawan aur naam jaap kreti hu. jb tk aap ka pta nhi tha tab tk to guruji hum farzi logo ke btaye raste pe chlete the. bachpan se he hume wo he murti pooja fast rkhena . mandir jaana shkiya. agr guruji next born me aap jaisa guru nhi mila fir kse moksh milega?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. I’m fine beti. Beti, Ishwar ved vidya grahann karne walon ke liye hamesha sukhdayee hai, raksha karne wala hai aur sada Vedic prerna dene wala hai. Rigved mein hee Ishwar kehta hai ki yadi koi present Vedic vidwaan evam yogi se vedon kee shiksha grahann karta hai to yahi vidwaan agle panch janamon tak apne shishya/shishyaon ko ved vidya daan karta rehta hai aur moksha tak pahunchata hai. Isliye vedon mein Parmeshwar ko aur vedon ke gyata acharya ko sachcha Sakha kaha hai.

Anupam: Guruji pranam.guruji apke dwarw sunaya ja raha valmiki ramayan ka path sun rahi hoo.bara aanandayak hai.guruji manthara to asur yoni milne ke karan kaikai ko bhadhkati hai .per kaikai to vedgyani hogi phir usne esa kaise ker dia.or dasrath bhi vedgyani hai.kya in sabke dath ka manthara per kuch bhi asar nahi hua.guruji meera krashn ki upasika thi.ve krshna ko bhagwan manti thi.unke liya apna ghar pati chora.kya unhe ye gyan nahi tha ki krashn ek mahapurush the.vo nirakar bhrama ko nahi janti thi kya.guruji ramkrshnapatamhans kali ke bhakt the v vivekanand ko bhi unhone vahi dab shiksha di.kya ye log bhi nirakar ishwar ko nahi jante the.guruji jin 3 loko ke vishay me aapne bataya hai usme se deyolokh ko thora vistar se bataiye please.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Thank you, beti. Kekai, Dashrath ke baare mein pichchley 2-3 din se maine detail se smajhaya hai aur usmein hee aapke question ka answer bhi aa jaata hai. Asha hai ab tak aapne sunn liya hoga. Jub koi ved gyan prapt nahin karta to weh nirakaar Ishwar ko kaise jaan sakta hai? Ramkrishna Paramhansa aur Vivekanandji ne bhi to goodh ved-vidya ka adhyayan nahin kiya tha. Yadi vedon ka Adhyayan karte tub to nitya agnihotra, Yajyen, vedaadhyayan, Ashtang Yog sadhna aadi ka abhyaas karte, unhein jo achcha lagaa unhonein kiya.

Anupam: Guruji pranam.guruji apke dwarw sunaya ja raha valmiki ramayan ka path sun rahi hoo.bara aanandayak hai.guruji manthara to asur yoni milne ke karan kaikai ko bhadhkati hai .per kaikai to vedgyani hogi phir usne esa kaise ker dia.or dasrath bhi vedgyani hai.kya in sabke dath ka manthara per kuch bhi asar nahi hua.guruji meera krashn ki upasika thi.ve krshna ko bhagwan manti thi.unke liya apna ghar pati chora.kya unhe ye gyan nahi tha ki krashn ek mahapurush the.vo nirakar bhrama ko nahi janti thi kya.guruji ramkrshnapatamhans kali ke bhakt the v vivekanand ko bhi unhone vahi dab shiksha di.kya ye log bhi nirakar ishwar ko nahi jante the.guruji jin 3 loko ke vishay me aapne bataya hai usme se deyolokh ko thora vistar se bataiye please.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Answer as above.